Ghar ki chaar
diwaron ka dandh,
Reh gaya
insaan bhi parindon ki tarah bandh,
Wohi ghutan
wohi talab wohi bebasi ne ghera hai,
Jaagne ka
waqt hai shayad yahi wo sawera hai.
Bahar jaane ke raaste bhi reh gaye hai chandh,
Duniya me kum
ho rahi hai pollution ki wo gandh,
Chidiyon ne
dhund liya fir se apna basera hai,
Jaagne ka
waqt hai shayad yahi wo sawera hai.
Srasti me santulan banake ki ab wo sadi hai,
Khud me kho
jaane ki shayad abhi wo ghadi hai,
Har lena wo
jo jeevan ka poora andhera hai,
