Maati se bana hua deh,
Man hai uska likha hua code,
Bhavnaayon ki dor ka hai algorithm,
Jo din raat karta rehta hai shor.
Sochta hai me hu khudka maalik,
Par jhuti lagti hai wo soch,
Na sarir ka kuch pata hai,
Aur na hi dimaag par hai uska koi zor.
Ek kathputli ki tarah nachta khilona sa hai,
Gaur se dekho to zindgi se bhi wo idhar udhar kuch bhagta sa hai,
Khushi aur gum ki sarita me dubki aur gote khata hai,
Ye bhi nhi jaanta ki akhir wajood usse aisa kya chahta hai.

