Sun beta hamesha khush rehna, kaha karti thi mujhse nani maa,
Dhyan me hi ekagrata badhana, aur sun zara halkee rang ki saare hi laana.
Maun vrat rakhkar bhi muskuraya karti thi nani maa,
Ratri bhojan tyaag karne ke gungan gaaya karti thi nani maa,
Akelepan ko ekanth me badalne ki vidhi samjhaya karti thi naani maa,
Apne me ramne ki kala sikhaya karti thi naani maa.
Aachran unka ekdum saaf tha aur na hi unme koi kami thi,
Aankhon me unke pavitrata ki bharpoor hi ek chabi thi,
Jeevan me unke gehrai aur shabdon me kranti ki ladi thi,
Sunyata ke anand se roshan wo Chanda nani sachmuch hi ek adbhut pari thi.
Ek dukh gehen hai dil me ki akhiri alvida na keh paaya,
Fir ehsaas hua ki kyun niraas hoon, tyagi hai unhone abhi sirf apni kaaya,
Ab to wo udhne ko aazad hai aur mukti ki taraf pankh failaengi,


No comments:
Post a Comment