Thehra sa hu,
Gati bhi hu,
Sapne liye unchi uddan sa hu.
Sadharan sa hu,
Asadharan bhi hu,
Apne hi wyatitva ki dharna sa hu.
Jaanta sa hu,
Aur anjaana bhi hu,
Diya tale gehen andhkar sa hu.
Atit sa hu,
Kal bhi hu,
Poora aaj aur abhi sa hu.
No comments:
Post a Comment